Tajzub


Mai bhi sharab pita hu
Mai bhi nasha karta hu
Fark bus itna hai ki
Sharab mere gale se nahi
Mere haatho se utarta hai

Tajzub kyu ho
Mai apne" likhavat" ki baat kar raha.
hu

Mai roj ek jani-mani lekin adrisya
Premika se prem karta hu,
Mai khub apne ladkhadaye kalam se
Bina hosh ke paglo ki tarah kagaz par badbadata hu
Mai bhi sharab pita hu
Mai bhi nasha karta hu

Tajzub kyu ho
Mai apne "likhavat" ki baat kar raha
hu

Mera rehen-sehen hai ye kala
Bakwas aur Badlav likhta hu
Gehrai mein jhak kar,
Soch se samband banata hu
Bahut maza karti hai hunar meri
Mai bhi sharab pita hu
Mai bhi nasha karta hu
Tum tou roj padte ho

Tajzub kyu ho
Mai apne" likhavat" ki baat kar raha hu.
©gautampatra
120w
Written on the year 2018 May/June in between