Kisan hu mai


Kaam ko kiraye par lena padta hai,
Intezaam ke liye ji jan dena padta hai
Apni bhukh ki bhokhlahat bhi dekhta hu,
Aur karz ke rup mein chalan dena padta hai

Kyuki kehne ko annadata
Lekin ek Majdur kisan hu mai

Zamin ko rutba deta hu
Fal-sabji ki katar lagakar
Nirbhar rehta hu kudrat pe bhi,
Mai nahi mausam hai paidavar
Sirf zamindar ki zyati hi nahi,
Aapdao se bhi ladna padta hai,

Kyuki kehne ko annadata
Lekin majdur kisan hu mai

Meri mehnat mahino dhup mein sukh jati hai,
Baajar tak jate jate lachari mein doob jati hai,
Milta kitna 200-300 rupee
Bachta kya hai ,jo kamaya tha vo tou udhar tha
Meri jivika ko bhi jivan se ab hye toba karna padta hai

Kyuki kehne ko annadata
Lekin majdur aur majbur kisan hu mai.
©gautampatra
120w
Written on the year 2018 May/June in between