Ek pankha
Naye shehar mein mera aagman
Swagat ke liye sirf ek ghar hi tha
Chan-bin karte karte pahucha
Tou dekha lohe ke zine mein chadna tha
Mai andar ghusa khud ko tushte hua
Chehre par ek aaram ki hasi thi
Gandagi ki bharmar mein
Ek aashrya tou mil gaya
Mai naha kar naya ho gaya
Phir thoda sone ke liye gaya
Par bhumkamp ya bomb
Ki tarah aawaj deti hawa
Vo ek pankha
Mai hadbadahat se utta
Phir dekha tou pankha dug dug kar raha hai
Mai so gaya
Sham ke shor gul mein bahar thoda
ghumne gaya
Kaafi der tak romanchit raha mai
Phir hotel mein jakar kuch pait ki sujan kam ki.
Vapas vistar se raasto ne pareshan kiya,
Ant mein mai ghar pahuchne mein safal hua,
Thakavat tou jaise badan dard si thi
Aur patthar ke bistar par so gaya
Neend behad gehri aur tazi thi
Mai dar kar achanak chillaya
Par bhukamp ya bomb ki tarah
Aawaj deti hawa
Vo tha ek pankha
Meri raato ki hawaiya udd gayi
Ek pankha jo jan ko latkaye meri
Dug dug sa karta hai
Vo ek pankha.
©gautampatra
120w
Written on the year 2018 May/June in between

0 Comments