Dakiyanusi


Kya ho sakta hai ki mai
Tumko apna spouse banalo
Kya ho sakta hai ki mai
Tumko apna jodidaar banalu
Woh inn sawalo ko
Inkar tou nahi karti
Na bhi nahi kehti
Kehti hai ye kaise sawaal hai

Dakiyanusi

Kya ye jawab hi mohar hai tumhari
Kya ho sakta hai ki shauhar mai banu
Kyu nahi bolte ho apni chupaniya
Batao na kya ho sakta hai ki mai
Tumhare saath saans hi hu
Woh inn sawalo ko
Dhikkarti bhi nahi
Na bhi nahi kehti
Kehti hai ye kaise sawaal hai

Dakiyanusi
Kuch aur pucho

Izzat ke khilaf jakar mai usse
Kuch bol bhi na pau
Meri hasi mein reh jati hai
Bol sare jo bol na pau
Haatho se vinti hai
Batao kya mai pyar hu tumhara
Jawab do na mai parivar ban sakta hu kya
Woh inn sawalo ko
Tamacha bhi nahi deti
Na bhi nahi kehti
Kehti hai ye kuch jyada puch gaye

Dakiyanusi
Kuch aur pucho
©gautampatra
120w
Written on the year 2018 May/June in between