Darr
Afsos se saans rok lu apni,
Dukh se kaat du apni hawa,
Haar gaya agar ek chote se imtahan mein,
Kya chaat lu apni maut zindagi se,
Ye kaisa
Darr
Sab aage nikal gaye,
Meri uljhano se hi ulhana hoti hai,
Mai kya makshad na pakar mariyal ban jaunga,
Haat gaya agar ek chote se imtahan mein,
Kya baaat du apni umra maut ko,
Ye kaisa
Darr
Ek saal ka guzrna
Mera bhavisya kaise tol sakta hai,
Mai nakamyab raha,
Aisa kaise koi bol sakta hai,
Dusro ki tanashahi ko tabbaju dekar,
Kya barbaad kar lu apne junoon ko,
Ye kaisa
Darr
Kya hona hai aage
Kya paunga mai aage,
Jhut toh sabse kaha
Ki haan mai jit gaya
Lekin apni iss jit ko kaise bachaunga mai,
Mai ek accha insan hu
Lekin jhutla nahi sakta apni bejati,
Kya badla le lu khud se,
Karke apna hi antim sanskar,
Ye kaisa
Darr
©gautampatra
Written on the year 2018 May/June in between

0 Comments